|
|
|
ek chand hey sitaroon mai
Posted On: 09/10/2007 06:59:15
|
Youn to lakh guzrey hain cheray en neegahon mai
Naqsh ho gaya chehra ek baas, khayalon mai
Oos taraf kadam oothay to mujhey laga aisay
Lamha lamha ghuzra hey wo safar ujaloon mai
Humne aazmanay ko kuch sawal poochay thay
Kis kadar malahat thi, ooskay saab jawaboon mai
Dekhta rahoon osko, sochta rahon osko
Kya nasha sa hota hey ooski narm bataoon mai
Hum sey poochay koi, kis tarhan ka hey wo
Hum bataingey, wo ek chand hey sitaroon mai
|