Viewing 1 - 2 out of 2 Blogs.
Kaati hai gham ki raat badey ehtaram se
akhsar buhja liya hai chiragon ko shaam se
Roshan hai apni bazm aur is ehtamam se
kuch dil bhi jhal rahe hain chiragon ke naam se
har saans par hai maut ka peharaa laga hua
aahista ai hayaat guzar is muqaam se
ye aur baat hai ke 'tariq' hum na sun sakey
awaaz us ne di hai hamein har muqaam se
zamaanaa yaad teraa ai dil-e-naakaam aataa hai
Tapak paratey hain aansoo jab wafaa kaa naam aataa hai
wafaa tum se karenge dukh sahenge naaz uthaayenge
jise aataa hai dil denaa use har kaam aataa hai
akele karavaten hai.n raat bhar bistar pe aur ham hain
kahaan pahaluu ko khaalii dekh kar aaraam aataa hai
hasiinon mein basar kar dii javaanii 'Arzoo' ham ne
lagaanaa dil kaa siikha hai. yahii ik kaam aataa hai