|
Viewing 1 - 9 out of 15 Blogs.
Page:
1 |
|
Mohabbat Jeet hoti hai, Magar ye Har jati hai... Kabhi Be-kar rasmoo se, Kabhi Dil-soz Lamhoo se, Kabhi taqdeer waloon se, Kabhi majbor qasmoo se, Kabhi ye khawab hoti hai, Kabhi Be-tab hoti hai, Kabhi ye mar jati hai, Kabhi ye masroor karti hai, Kabhi ye sog deti hai, Kabhi ye rog deti hai, Kissi ka chain hoti hai, Kissi ki aankh mei hamdum, Kahan ek bar jati hai, Jahan tazleel ho iski, Wahan har bar jati hai, Kisi ke paoon mei reh kar, FALK KE PAR JATI HAI, MOHABBAT JEET HOTI HAI MAGAR YE HAR JATI HAI......
Safar tanha nahin karte Suno aesa nahin karte Chalo tum raz ho apna Tumhain afsha nahin karte Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte Suno yadain sataingi magar roya nahin karte Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte
Kabhi waqt mile to aajao, Ham jheel kinare ja baithen, Tum apne sukh ki baat karo, Hum apne dukh ki baat karain, Aur un lamhoon ki baat karain, Jo sung tumhare beet gaye, Aur ehd-e-khizan ki nazar howy, In sabz ruton k daman mai, Hum pyar ki khushbo mehkain, In bikhray sabz nazaron ko, Ham aankhon men tasveeer karain, Phir apne pyar k jado se, Hum lamhoon ko jageer karain, Kabhi waqt milaye to ajao… Hum jheel kinare ja baithen
Main Sun us ki Sab Batain... Faqt Itna hi Kehte hon..... Khafa hona.... Mana Lena..... Ya Sadiyoon se Riwayat ha..... Muhabbat ki Aalamat ha... Gilaay Shikway karo muj se........... Tumhain Yara Ijazat ha...... Magr ik bat meri b... Zara Tum yad rahk lena...... Kabhi aisa b hota ha......... Hawayin Rukh Badalti hain.... Khazain loat ati hain... Khatain ho hi jati hain.... Khata hona b Mumkin ha... Khafa hona b mumkin ha.... Hamesha Yad rahkna Tum.... Taluq Rooth Jany se Kabi Toot nahi Karty.........
Tabdili Allah ke taraf say hay har chiz fana honi hay! Jo hua acha hua, Jo ho raha hay wo acha ho raha hay, Jo ho ga wo b acha he ho ga, Tumhara kia gaya jo tum rote ho? Tum kia lay thay, jo tum nay kho diya? Tum nay kia peda kia tha jo khatam ho gaya! Tum nay jo liya yahi say liya, Jo dia yahi par diya, Jo aj tumhara hay! Kal kisi or ka tha! Kal kisi or ka ho jay ga!!
|
|
Uski
Posted On 09/26/2008 03:00:31
|
Uski Baaton Main Pyar Ki Khushbu Hay Uske Lehjay Main Dil-rubaayi Hay Jis ki Aankhon Main Khuwaab Hain Mere Neend Us Nay Meri Churaayi Hay
Usay Kehna, Kitabon Main Rakhe Huay Kuch Sookhay Phool Us K Lout Aane Ka Yakeen Ab Tak Dilaate Hain Usay Kehna K Us Ki Jheel Si Aankhain Kisi Manzar Pay Chaa Jaayen Toh Sab Manzar Yunhi Phir Bheeg Jaate Hain Usay Kehna K Thandi Barf Par Koi Kisi K Sath Chalta Hay Toh Qadmon K Nisha'n Phir Say Usi K Lout Aanay K Nisha'n Dil Par Banaate Hain Usay Kehna K Uski Bheegti Aankhon Ka Wo Aansu Sitaare Ki Tarah Ab Bhi Hamain Shab Bhar Jagata Hay Usay Kehna K Baarish Khirkiyon Pay Us K Aansuon Say Naqsh O Nigaar Banati Hay Usi Ka Naam Likhti Hay Usay Hi Gungunaati Hay Usay Kehna K Khushboo, Chandni, Taare, Raste, Ghata, Kajal Mohabat, Shabnam, Hawaein, Raat, Din, Badal Sabhi Naraz Hain Hamse Usay Kehna Judaai K Darakhton Par Jo Sookhi Tehniyaan Hain Wo Saari Barf Ki Chadar Main Kab Ki Dhak Chuki Hain Aur Unki Shaakhon Pay Yaadon K Jo Pattay Thay Sunehri Ho Gaye Hain Usay Kehna December So Gaya Hay Aur Yakh Basta Wo Bheegi January Phir Lout Aayi Hay Usay Kehna K Ab Lout Aaye Usay Kehna K Ab Toh Lout Aaye,,
suna hay log kahtay hain.. k ishq ki sarzameeno par muajzay b hotay hain,, tu bas itni duwa hay k , maray dil ki dhrti par ik muajza ho jaye jo mera ho nahi pata .. wo bas mera ho jaye .. wo bas mera ho jaye..
Kuch Likhna chahati Hoon Sochti Hoon Kya Likhoon? Unka Aaker Muskurana Jo Rooth Jaon To Manana Jate Jate Phir Rulana Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon? Kuch Likhna Chahati Hoon Sochti Hoon Kya Likhoon? Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana Her Shaam Ek Diya Jalana Soi Umeed Ko Roz Jagana Kya Unka Yeh Intezar Likhoon? Kuch Likhna Chahati Hoon Sochti Hoon Kya Likhon?
Page:
1 |
|
|