|
Viewing 10 - 18 out of 25 Blogs.
| Page:
|
2 |
|
Bana Gulab Tu Kante Chuba Gaya Ek Shaks
Howa Chiragh Tu Ghar Hi Jala Gaya Ek Shaks
Tamam Rang Mere Aur Saray Khuwab Mere
Fasana Kah K Fasana Bana Gaya Ek Shaks
Mein Kis Hawa Mein Uroon Mein Kis Fiza
Mein Lehraon Dekhon K Jaal Har So Bicha Gaya Ek Shaks
Palat Sakon Mein Na Age Berh Sakon Jis Per
Mujhay Ye Kon Se Raste Pe Laga Gaya Ek Shaks
Mohabbatein Bhi Ajeeb Us Ki Nafratein Bhi Kamal
Meri Tarha Ka Hi Mujh Mein Sama Gaya Ek Shaks
Wo Mehtab Tha Marham Ba Dast Aya Tha
Mager Kuch Aur Siwa Dil K Dukha Gaya Ek Shaks
Phoolon Say Pyaar Hai....?
Magar Jab Phool Khiltay Hain To Unhain Tehni Say Tor Dalti Ho....
Tum Kehti Ho Mujhay Baarishoon Say Pyaar Hai...?
Magar Jab Baarish Hoti Hai To Chuppti Phirti Ho....
Tum Kehti Ho Mujhay Hawaoon Say Pyaar Hai....?
Magar Jab Hawa Chalti Hai Tu Khirkiyan Band Kar Leti Ho Phir Us...
Main Khof Zada Sa Ho Jata Hoon Jab Tum.....
Jo mushkil assan banasaktey hay
Jo dushman ko giratey hay
Jo hunste aur hunsate hay
Un ko bhala kiya kehtey hay?
Un hi ko dost kehte hay
Jo jeet ki khushi manate hay
Jo haar main sath bitate hay
Jo phir bhi kahan jatate hay
Un ko bhala kia kehte hay?
Unhi ko dost kehte hay
Jo hote hain khazane humare liye
Jop hote hain sahare humare liye
Jo pyar dete hain pyar lene k liye
Un ko bhala kia kehte hay?
Inhi ko dost kehte hay
Jin ki qeemat pata chalti hai bhichrne k bad
Nahi khareeda ja sakta un ko paise se yaar
Yeh hain humare liay KHUDA ka pyar
In ko bhala kia kehte hain?
Inhi ko dost kehte hain
Mujhay dushmano ki khabar na thi,mujhy dostoo ka pata na tha,
teri dastan kuch aur thi mera waqiya kuch aur tha,
kabhi laut aayain tu pochna nahi dekhna inhain ghoor say,
jinhain rastay main khabar hoi ye rasta kuch aur tha
huey dil ko kaise khasaray bata nahin saktay hum
zindgi se kiyun haray bata nahin saktay
Reza Reza huey k simat na sakay
kis ne khawab hain ujaday bata nahin saktay
samundar ki chah mein pyas badhne lagi jab
hum kiyun pohonch na paye sahil kinaray bata nahin saktay
Daddy Internet laga dein ...
Dil ka connection miladein,
Daddy Internet laga dein ,
Mujhe aaya mail dostoun ka,
Kab lagay Ga itna Bata dein,
Daddy Internet laga dein,,
Aap kehte hain mein shor machaon Ga,
Try karo mein naraz na kar paon Ga,
Mein god promise karta Hoon,
Net aap ke saunay ke baad lagaun Ga,
Daddy Internet laga dein,
Saheli nahi meri, haan dost hi hotay hain,
Who saray ke saray school mein hi sotay hain,
Raat to guzarti hai net par typing kartay,
Subha bhi chat room mein hi hotay hain.
Daddy Internet laga dein,
Ladkian bhi kamaal hoti hain,
Ghar pe apni misaal hoti hain,
Saara kaam khatam karkay,
Das bajay saday naal hoti hain,
Daddy Internet laga dein,
Ab to mujhe Internet lagadein,
Meri bhi mauj karadein,
Mein bhi dhondta Hun cyber bahoo,
Aap bas nikah dot com karadein
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya..
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya..
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya..
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya...
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya...
Mere jevan ki her khushi main wohi tha bus
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya....
**************************************************
Kamaal-e-zabt ko khud bhi toa aazmaaongi
Main apney haath se uski dulhan sajaaongi
Supurd karkey usey chaandini ke haathon main
Main apney ghar ke andheron main laut jaaongi
Badan ke karb ko who bhi samah na paayga
Main dil main rowongi aankhon main mukaroungi
Woh kya gaya k rafaqat ke sarey lutf gaye
Main kiss se rooth sakongi, kissey manoongi
Ab uska fun toa kisi aur se hua mansoob
Main kisski nazm akeley main gungunoongi
Wo aik rishta-e-be-naam bhi nahin lekin
Main ab bhi uskey ishaaron per sur jhukaaongi
Bichaa diya tha Gulaabon ke saath apna wajood
Wo so ke uthey toa khwabaon ki raakh uthaaongi
Samaaton main ghaney jangalon ki saansein hain
Main ab kabhi teri awaz sun na poongi
Jawaz dhoond raha tha nae mohabbat ka
Who keh raha tha main uss ko bhool jaaongi
................................................
Na Woh Farishta Ho...!!!
Na Woh Farishta Ho
Na Farishtey Jaisa Ho
Mujhay Talash Hay Us Ki Jo Meray Jaisa Ho
Meray Khaluos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hay
Woh Koi Bhi Ho,Kahin Bhi Ho,Kaisa Bhi Ho
Jo Khuwab Denay Ko Qadir Ho Meri Aankhoon Ko
Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho
Meri Khatir Marney Ka Hosla Bhi Rakhta Ho
Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say To
Muskra Kay Manayee, Woh Aisa Ho
Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sakey
Iradon Mein Woh Apney Chahtaoon Jaisa Ho
Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa HumSafar Jo Samander Ke Tarha Gehrah Ho
Us Kay Pyar Ke Thandak Ho Meray Liyae Aise
Key Woh To Bilkul Aasman Kay Chand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaoon Main Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Sath Chalay Woh Aisa Hooo...!!!
Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Hooo...!!!
| Page:
|
2 |
|
|