|
Viewing 10 - 18 out of 28 Blogs.
| Page:
|
2 |
|
|
Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum Har waqt bura kat jaat hai, yaqeen karna Ankhon main kabhi tum ashk na bhar lena Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage Apni duaaon main mujh ko paaoge tum Ishq naam to nahin hai milan ka, deedar ka Dil se dil ka mil jaana hai naam-e-mohabbat Jo yaad aa jaaye meri, na samjhna ki door hoon Apne seene main dhadakta mujh ko paaoge tum Waqt ki garmi jo jhulsaane lage wujood Meri chahat ki nami ko mehsoos karna Jo sard hawaain zamane ki aane lagen paas Meri wafaaon ki garmi ko mehsoos karna Main tumse juda to nahin hoon mere humdum Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum !!
Masoom si Mohabbat ka bus itna sa Fasana hai, Kagaz ki Haweli hai, Baarish ka Zamaana hai, Kya Shart-e-Mohabbat hai, kya Shart-e-Zamana hai, Aawaz bhi Zakhmi hai aur wo Geet bhi gana hai, Uss paar utrne ki Umeed boht kam hai, Kashti bhi Puraani hai, Toofaan bhi aana hai, Samajhe ya na samjhe wo Andaaz-e-Mohabbat ka, Ek khaas ko Aankhon se ek sher sunaana hai, Bholi si ada, koi phir Ishq ki Zid per hai, Phir Aag ka Darya hai.. Aur Doob ke jana hai..
Chalo Ishq nahi, Chaahne ki Adat hai, Kya karein k Hamein Dusrey ki Adat hai, Tuu apne Sheesha-Gari ka na ker Hunar Zaya, Mai Aaina hoon, Mujhe Tootne ki Adat hai, Wisaal mai b wohi Faasley Sarab k hain, Ke Usko Neend, Mujh ko Rat-Jage ki Adat hai, Tera Naseeb hai Ae Dil Sada ki Mehroomi!! Na Wo Sakhi hai, na Tujhe Maangne ki Adat hai, Ye Khood-Aziyati kab tak "FARAZ" Tu b use na ker Yaad, Jise Bhoolne ki Adat hai..
sar jhukaaoge to patthar devataa ho jaayegaa itanaa mat chaaho usay wo be-wafaa ho jaayegaa ham bhii dariyaa hain hame.n apanaa hunar maaluum hai jis taraf bhii chal pa.De.nge raastaa ho jaayegaa kitanii sachchaa_ii se mujhase zi.ndagii ne kah diyaa tuu nahii.n meraa to ko_ii duusaraa ho jaayegaa main Khudaa kaa naam le kar pii rahee huu.N dosto.n zahar bhii is me agar hogaa davaa ho jaayegaa ruuTh jaanaa to mohabbat kii alaamat hai magar kyaa Khabar thii mujh se wo itanaa Khafaa ho jaayegaa
Mohabbat Jeet hoti hai, Magar ye Har jati hai... Kabhi Be-kar rasmoo se, Kabhi Dil-soz Lamhoo se, Kabhi taqdeer waloon se, Kabhi majbor qasmoo se, Kabhi ye khawab hoti hai, Kabhi Be-tab hoti hai, Kabhi ye mar jati hai, Kabhi ye masroor karti hai, Kabhi ye sog deti hai, Kabhi ye rog deti hai, Kissi ka chain hoti hai, Kissi ki aankh mei hamdum, Kahan ek bar jati hai, Jahan tazleel ho iski, Wahan har bar jati hai, Kisi ke paoon mei reh kar, FALK KE PAR JATI HAI, MOHABBAT JEET HOTI HAI MAGAR YE HAR JATI HAI......
Safar tanha nahin karte Suno aesa nahin karte Chalo tum raz ho apna Tumhain afsha nahin karte Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte Suno yadain sataingi magar roya nahin karte Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte
Kabhi waqt mile to aajao, Ham jheel kinare ja baithen, Tum apne sukh ki baat karo, Hum apne dukh ki baat karain, Aur un lamhoon ki baat karain, Jo sung tumhare beet gaye, Aur ehd-e-khizan ki nazar howy, In sabz ruton k daman mai, Hum pyar ki khushbo mehkain, In bikhray sabz nazaron ko, Ham aankhon men tasveeer karain, Phir apne pyar k jado se, Hum lamhoon ko jageer karain, Kabhi waqt milaye to ajao… Hum jheel kinare ja baithen
Main Sun us ki Sab Batain... Faqt Itna hi Kehte hon..... Khafa hona.... Mana Lena..... Ya Sadiyoon se Riwayat ha..... Muhabbat ki Aalamat ha... Gilaay Shikway karo muj se........... Tumhain Yara Ijazat ha...... Magr ik bat meri b... Zara Tum yad rahk lena...... Kabhi aisa b hota ha......... Hawayin Rukh Badalti hain.... Khazain loat ati hain... Khatain ho hi jati hain.... Khata hona b Mumkin ha... Khafa hona b mumkin ha.... Hamesha Yad rahkna Tum.... Taluq Rooth Jany se Kabi Toot nahi Karty.........
Tabdili Allah ke taraf say hay har chiz fana honi hay! Jo hua acha hua, Jo ho raha hay wo acha ho raha hay, Jo ho ga wo b acha he ho ga, Tumhara kia gaya jo tum rote ho? Tum kia lay thay, jo tum nay kho diya? Tum nay kia peda kia tha jo khatam ho gaya! Tum nay jo liya yahi say liya, Jo dia yahi par diya, Jo aj tumhara hay! Kal kisi or ka tha! Kal kisi or ka ho jay ga!!
| Page:
|
2 |
|
|
|