dunya main hoon dunya ka talabgaar nahi hoon
bazar say guzra hon khareedar nahi hoon
zinda hoon par zeest ki lazzat nahi baqi
har chand k hoon hosh main magar hoshiyar nahi hoon
afsurda hoon ibarat say dava ki nahi hajat
gham ka mujhay yeh zauf hai bemaar nahi hoon
yarab mujhay mefuz rakh us but k sitam say
main us ki inayat ka talabgaar nahi hoon
afsurdigi-e-jaur ki kuch hadh nahi akbar
kafir k muqabil main bhi deendaar nahi hoon