"Jo meri ankh se khuwab dekho,
to eik bhi shab na so sako ge,
keh laakh chaho na hans sako ge,
hazaar chaho na ro sako ge,
keh khuwab kya hein azab hein yeh,
merey dukhon ki kitaab hein ye,
rafaqatein in mein chotti hein,
mohabbatein in mein ruthti hein,
pohachti hein in mein wehshatein si,
azyatein in mein puthti hein,
inhi ke duur se kizahn hein jazbey,
inhi si shakein si tootti hein,
ghamon ki bandish hein khuwab merey,
pehl raha hai dukhon ka lawa,
rahein-e- aatish hein khuwab merey,
khayal saarey jhulas gaye hein,
sulagti saansein hein zindagi ki,
lahu ki saazish hein khuwab merey,
jo meri ankh se khuwab dekho,
to eik bhi shab na so sako ge.
************************
Tags: SaGaR