Ro padi hain ankhein teri dastan sun kar, Kya hoga jab samne aisa koi manzar hoga, Ho gayi maut agar zamane ki is tabahi se Na jane is ka mere apno pe kya asar hoga, Kho chuka hai aman-o-sukun duniya ka Na jane ab is shehar ka kya hasar hoga, Khushian to ja chuki hai ab tere shehar se bhi Is se ziyada hairat kya aur kis kadar hoga, Dur hun par tere shehar se farig kabhi na tha Ummid thi kabhi to kam zulmo ka kehar hoga, Thak chuki hai ankhein aye khuda is dehshat se Koi to tere jahan me is ka rah-guzar hoga Ro padi hain ankhein teri dastan sun kar, Kya hoga jab samne aisa koi manzar hoga.