Kaali raaton ko bhi rangeen kaha hai maine Teri har baat pe aamin kaha hai maine ******************************************************* Teri dastaar pe tanqeed ki himmat to nahi Apni Paaposh ko kaaleen kaha hai maine **************************************************** Maslehat kahiye isey yaa ke siyaasat kahiye Cheel kawwon ko bhi shaahin kaha hai maine ***************************************************** Zaayeke baarha aankhon main mazaa dete hain Baaz chehron ko bhi namkin kaha hai maine ******************************************************* Tuney fun ki nahi shijrey ki himaayat ki hai Tere aijaaz ko tohin kaha hai maine