Welcome Guest Login or Signup
LIVE CHAT | INSTANT MESSENGER | BOOKMARK
 

BLOGS   WRITE NEW BLOG   EDIT BLOGS  
 
RSS
Kya mazaa................!
Posted On 10/18/2008 10:06:50 by mohammad_sana
Kya mazaa un say roothnay kaa, Jinn ko fursat nhi manaane kee, Kyun yeh hasrat thee dil lagaane kee, Thee na himmat agar nibhaane kee, Maang kar ham say lay liya hota, Kya zaroorat thee dil churaane kee, Kaun aayegaa bhool kar raasta, Dil ko kyun zidd hai ghar sajaane kee, Abb nhi aas kuchh rihaayi kee, Baat chhedo na ashiyaane kee, Rangg tum bhi badlaty ho pall-pall, Khoob tasveer ho zamaane kee, Buutt ho kaabaa ho ya kaaleesaa ho, Ham ko aadat hai sarr jhukaane kee, Tum nay insaaf kuchh kiya aisay, Gou adaalat ho zamaane kee, Kya mazaa un say roothnay kaa, Jinn ko fursat nhi manaane kee,

Bookmark:



Viewing 1 - 1 out of 1 Comments

10/19/2008 23:39:56
dont mind wese to ye sirf poetry hai lekin phir bhi kuch cheezon ka khayal rakhna chahiye aur un se avoid karna chahiye jaisa k is mein kaleesa k samne sarr jhukane ka zikar hai.i think ye nahi hona chahiye




*** Pakistani music ***
Pakistani music Pakistani songs Pakistani spanish music investment property property childrens lighting