Usay Kehna, Kitabon Main Rakhe Huay Kuch Sookhay Phool Us K Lout Aane Ka Yakeen Ab Tak Dilaate Hain Usay Kehna K Us Ki Jheel Si Aankhain Kisi Manzar Pay Chaa Jaayen Toh Sab Manzar Yunhi Phir Bheeg Jaate Hain Usay Kehna K Thandi Barf Par Koi Kisi K Sath Chalta Hay Toh Qadmon K Nisha'n Phir Say Usi K Lout Aanay K Nisha'n Dil Par Banaate Hain Usay Kehna K Uski Bheegti Aankhon Ka Wo Aansu Sitaare Ki Tarah Ab Bhi Hamain Shab Bhar Jagata Hay Usay Kehna K Baarish Khirkiyon Pay Us K Aansuon Say Naqsh O Nigaar Banati Hay Usi Ka Naam Likhti Hay Usay Hi Gungunaati Hay Usay Kehna K Khushboo, Chandni, Taare, Raste, Ghata, Kajal Mohabat, Shabnam, Hawaein, Raat, Din, Badal Sabhi Naraz Hain Hamse Usay Kehna Judaai K Darakhton Par Jo Sookhi Tehniyaan Hain Wo Saari Barf Ki Chadar Main Kab Ki Dhak Chuki Hain Aur Unki Shaakhon Pay Yaadon K Jo Pattay Thay Sunehri Ho Gaye Hain Usay Kehna December So Gaya Hay Aur Yakh Basta Wo Bheegi January Phir Lout Aayi Hay Usay Kehna K Ab Lout Aaye Usay Kehna K Ab Toh Lout Aaye,,