Ye Zara Zara Si Baat Par Tarhan Tarhan Ke Azaab Kiun?****************************************** Jo Kisi Sey Bhi Khafa Na Ho Mujhey Us Khuda Ki Talaash Hey*********************************************** Mujhey Laghzishon Pe Har Gharri Koi Tok’ta Hey Baar Baar**************************************************** Jisey Kar Ke Dil Ko Dukh Na Ho Mujhey Us Gunaah Ki Talaash Hey ************************************************************** Mein Dhoondta Hoon Wo Khizaan Jisey Gulshanon Sey Pyaar Ho ************************************************************** Jisey Kisi Chiragh Sey Na Bey’r Ho Mujhey Us Hawa Ki Talaash Hey ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Mujhey Us Nager Ki Hey Justuju Jahan Koi Bhi Chahata Nahi Lahu ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Jahan Hiran Ko Sheir Sey Dar Na Ho Mujhey Us Jaga Ki Talaash Hey ***************************************************** Yahan Ik Lamhey Ke Parrao Mein Merey Sarey Phool Jhulas Gaey ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Ab Jahaan Talkhion Ki Tappish Na Ho Mujhey Us Fiza Ki Talaash Hey ********************************************************** Bina Humsafar Ke Kab Talak Koi Musafiton Mein Laga Rahey ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~`` Jahan Koi Kisi Sey Juda Na Ho Mujhey Us Raah Ki Talaash Hey ********************************************************** In Husn-Kadon Ke Shor Sey Meri Samaa’atein Hein Ajnabi ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~` Ho Jis Pukaar Mein Mukhlisi Mujhey Us Sada Ki Talaash Hey ***************************************************** Mujhey Deikh Kar Jo Ik Nazar Merey Sarey Dard Samajh Sakey ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Jo Is Qadar Ho Chaara-Gar Mujhey Us Nigaah Ki Talaash Hey ******************************************************** ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~`