Tuj say main pyaar karti hun bandagi ki tarha Tu maray zaat may shamil hai zindagi ki tarha Meray khayal par galib hai ik tary soorat Tuj ko hi sochti rehti hun shaairy ki tarha Saja kay aankhon may rakhain hain sub taray jalway Andhary raat kay lamhoo may roshni ki tarha Teray wajood say baqi hain meray umeeday Tum hi basay ho maray dill may ,dharkan ki tarha Iss say bar kay main tumhay chahun kaisay Nas nas may tum samaa chukay ho lahoo ki tarha Or tumhay kiya maloom tum meray zindagi ho Hum nay chaha hai tumhay zindagi ki tarha