Welcome Guest Login or Signup
LIVE CHAT | INSTANT MESSENGER | BOOKMARK
 

BLOGS   WRITE NEW BLOG   EDIT BLOGS  
 
RSS
Closet Frd
Posted On 12/07/2006 23:58:50 by chand
main saahil pey likhi hoi ibaarat nahi
jo lehron se mit jaati hai...

main baarish ki barasti boond nahi
Jo baras ker tham jaati hai...

Main woh ek khawab nahi
Jisey dekha aur bhoola diya...

Main woh ek shama nahi
Jisey phoonka aur bujha diya...

Main hawa ka woh jhonka nahi
Jo aya aur guzar gaya...

Main chand bhi nahi
Jo raat kay baad dhal jaye...

Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay...

Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay...

Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga...

Khwab...ibaarat...hawa ki tarah
Chand...boond...shama ki tarah...

Meray mitnay ka sawaal nahi
kion kay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN

Aur Mohabbat ka Koi Zawaal Nahi....!!!!


Bookmark:




*** Pakistani music ***
Pakistani music Pakistani songs Pakistani spanish music investment property property childrens lighting