Khuda hum ko aisi khudai na de, key aapney siwa kuch dikhai na de,
khatawar samajhey ghay dunya tujhe abh itni ziada saafai na de.
haanso aaj itna key iss shoor mein saada siskyoon ki sunai na de.
Mujhe aisi jannat nahi chahie jahaan se madinah dikhai na de.
Mujhe aapni chaadar mein yoon daamp loon,
zameen asmaan kuch dikhai na de..
Khuda aisa ehsaas ka naam hai,
rahey saamney aur dikhai na de.. ..
Tags: Khuda