Kuch Likhna chahati Hoon
Sochti Hoon Kya Likhoon?
Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon To Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?
Kuch Likhna Chahati Hoon
Sochti Hoon Kya Likhoon?
Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana
Her Shaam Ek Diya Jalana
Soi Umeed Ko Roz Jagana
Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?
Kuch Likhna Chahati Hoon
Sochti Hoon Kya Likhon?