Meri ankhoon pe woh marta tha,
Meri baathoon pe woh hansta tha,
Najane shakhas tha keisa,
Mere khone se woh darta tha,
Mujhay who jab b miltha tha,
Yahi har bar kehta tha,
Suno!
Agar mein bhool jawoon tu,
agar mein root jawoon tu,
Kabi wapas na awoon tu,
Bhool pawoo ge ye sub kuch,
unhi hanste raho ge kya,
unhi sajte raho ge kya,
Yahi bathain hai bas uss ki,
yahi yadhain hai bas uss ki,
Mujhay hai bas patha itna,
Mujhay who pyar karta tha,
Mere khone se woh dartha tha.