salam to all frnds ,,
mera maqsad app logon ko kujh batana ha jo hum sab kay liyay zarori ha ..hum main se kujh log iss haqeqat ko jante honge but jo nhn jante un ko samjhna humara farz bhi ha bake nasb u ain bhi ...
sawat main hone walay opration ko log ghalt kehty han kay ji wahan huymary bhai mar rahay han ...un logon ko kujh pata nhn ha apne pas se ghar bethy aisi batain karte han woh mujhy yeh batain kay kia un ko yeh malom ha sawat main taliban ne army kay jawanon kay sir kat kar headqurater main gift kay tor par bejhy han jis se aik dafah halchal machi thi kia yeh thek karna ha ...uss kay bad un ko kidnape kar kay marna sheed karna blost karne kia yeh thek ha ....
agar in ko marna ghalat ha to mery khiyal se app log khud samjhdar han...
plese yar kujh samjhdari honi chaiyay hum ko humary mulak kay kahlaf aik bohat bari berooni aur androoni sazish horahi ha jo humaray difah ko kahrab karne kay liyae han humari army ko tang karna ha ...police par attcks yeh aisa hi kion horaha ha .phir bhi main apni govt par naz karta hun halnke main mushraf ka banda nhn na hi ppp ka na pml kisi ka bhi nhn aik pakistani hunn aur mera yeh farz banta ha kay sab ko aghai karon..yar govt apna kam thek kar rahi ha agar woh app ko androoni kam bata day jo horahay han to uss ka kam koi bhi nhn karay ga aur mulak main inteshar pehl jaye ga ..is liye saddar mushraf waqai main bohat acha kam kar rahy han aur yeh jo kujh bhi horaha ha undrooni sazshat ka natija ha ..sucide attckers jo han un ko kia karan un ky to brain waash kardiye jaty han ..laykin khuda ki adalat un ko saza day gi app aik batt samjh lo agar kujh samjh main aya ho to apnay as pas sab ko samjhin kay govt ki zimay dari uss ki ha yeh sab hungamy aur mehngaye humari apni ki hoye ha..benazir kay marny par petrol 150 ltr gas 120 ltr atta mehnga kia kiss nay kia yeh sab govt ne ?? nhn yeh uss awam ne kia jo iss waqt gumrah ha aur mafad parast han govt humary liyay hi kam kar rahi ha agar app ko lagta ha kay yeh sab ghalat ha to govt ne army ko attay ky dippos par kahra kiya ha to atta sasta hua ha aur sab kujh control main a raha ha ..laykin samjhn ahumrai zimedari bhi ha aur kam bhi kionke humary baron ne iss pakistan ko banane main apni jain de han haton main soye garwai han bachay mar diye han ..to kia app iss pakistan ko khonachayin ge ..plese think about it .apnay farz ko janiye aur yeh bawakofana batain karne walon aur inteshar philany walon kay moun band karwain agar pas kahra koi ghalt bat kar raha ho na janty hoye to uss ko chup karwain ..uss ko kia fone aya ha kay yeh hua ha yan yeh hoga ...plese samjhdar baniye koi nh mnnta to na many par batain zaror kion kay na jannane se behatr jan laina thek ha ...
aur jan jao to samjh laina achaiye ha i hope kay app dost kujh hosla karain ge kion kay hum youngsters hi aik sahara ha ..agar apni anay wali nasal ko sanwrana ha to plses do this job..
may god bless our ppls amin
ur kidly,
M juaid