Ankhon se ansu ghirne ka sabab kiya hay,
Ye jo tu nay kiya mere sath gazab kiya hay,
Agar esa karna tha to muje pehle bata deti,
Bacia rehta mein na tu muje esi saza deti,
Ye saza b bagair jurm kay tu nay di muj ko,
Kiu?? Or kon sa dard mein nay diya tuj ko,
Jurm yehi tha mera kay pyar kiya mein nay,
Tere pyaar ki zanjir se apne aap ko sangsar kiya mein nay ,
Pyar karne ka ye anjam muje mila hay,
Khushi ciahi thi or us ka ye sila hay,
Na mein karta pyar or na tu mere ciaro taraf samai hoti,
Na mein wafa karta or na tuj say bewafai hoti,
E adi tere sath ek na ek din esa hona hi tha,
Pehle nahi khoya use is dafa to khona hi tha..