Pathar Tha Magar Baraf Ke Galon Ki Tarah Tha
Ikk Shakhs Andheiron Mein Ujaalon Ki Tarah Tha
Khwabon Ki Tarah Tha Na Khayalon Ki Tarah Tha
Woh Ilm-e-Riyazi Ke Sawalon Ki Tarah Tha
Uljha Huwa Aisa Ke Kabhi Sulajh Nahin Paya
Suljha Huwa Aisa Ke Misalon Ki Tarah Tha
Woh Mil To Gaya Tha Magar Apna Hi Muqadar
Shatranj Ki Uljhi Huyi Chalon Ki Tarah Tha …