Zamanay say suna ha muhabbat har jata ha;
Jo chahat ik tarfa ho wo chahat har jati ha.
kahi dua ka ik lafz asar kar jata ha;
kahi barsoon ki ibadat har jati ha!
muhabbat kab kissi ko dushmani ka dars deti ha;
muhabbat ki bazi mein adawat har jati ha.
humain lakh shikwa hon un ki jafaon say;
par un kay aatay hi har shikayat har jati ha.
Roz yehi soochtay hain keh ussay bhool jain hum
per us kay samnay aati i har hasrat har jati ha.