zamaanaa yaad teraa ai dil-e-naakaam aataa hai
Tapak paratey hain aansoo jab wafaa kaa naam aataa hai
wafaa tum se karenge dukh sahenge naaz uthaayenge
jise aataa hai dil denaa use har kaam aataa hai
akele karavaten hai.n raat bhar bistar pe aur ham hain
kahaan pahaluu ko khaalii dekh kar aaraam aataa hai
hasiinon mein basar kar dii javaanii 'Arzoo' ham ne
lagaanaa dil kaa siikha hai. yahii ik kaam aataa hai