Tum ney apni chahatoon ka iqraar manga hay
to suno
Dil ke sachay jazbay
izhaar ke mohtaj nahi hotey
ye to wo jazbay hain jo jugnoo ban kar
aankhoon main chamaktey hain
hontoon ke naram goshoon ma reh kar
dil main bastay hain
tum mujh main is tarhaa samay hoey ho
ke jaisey
phool main khushbo
taroon main chamak
titli main rang
mera tumhara rishtaa atoot hay
jism o jaan ka hay
jo jodda rahay to zindagi
aur toot jay to mooot..........