Pyar ki aakhri poonji bhi luta aaya hoon
Apni hasti ko bhi lagta hai mita aaya hoon
Umr bhar ki jo kamaai thi ganwa aaya hoon
Tere khat aaj mai ganga mein baha aaya hoon
Aag behte hue paani mein laga aaya hoon *
*Toone likha tha jala daalu'n mai teri tahreere'n
Toone chaaha tha jala daalu'n mai teri tasveere'n
Soch lee'n maine magar aur hee kuchh tadbeere'n
Tere khat aaj mai ganga mein baha aaya hoon
Aag behte hue paani mein laga aaya hoon*
*Teri khushbu mein base khat mai jalaata kaise
Pyar mein doobe hue khat mai jalaata kaise
Tere haatho'n ke likhe khat mai jalaata kaise
Tere khat aaj mai ganga mein baha aaya hoon
Aag behte hue paani mein laga aaya hoon *
*Jinko duniya ki nigaaho'n se chuppaye rakha
Jinko ik umr kaleje se lagaaye rakha
Deen jinko, jinhe imaan banaaye rakha
Tere khat aaj mai ganga mein baha aaya hoon
Aag behte hue paani mein laga aaya hoon *
*Jinka har labz mujhe yaad tha paani ki tarah
Yaad the mujhko jo paigaam-e-zubaani ki tarah
Mujhko pyaare the jo anmol nishaani ki tarah
Tere khat aaj mai ganga mein baha aaya hoon
Aag behte hue paani mein laga aaya hoon *
*Toone duniya ki nigaaho'n se jo bachkar likhe
Saal-h-saal mere naam baraabar likhe
Kabhi din mein to kabhi raat ko uthkar likhe
Tere khat aaj mai ganga mein baha aaya hoon
Aag behte hue paani mein laga aaya hoon *
*Tere rumaal tere khat tere chhalle bhi gaye
Teri tasvvre'n tere shokh lifaafe bhi gaye
Ek yug khatm hua, yug ke fasaane bhi gaye
Tere khat aaj mai ganga mein baha aaya hoon
Aag behte hue paani mein laga aaya hoon *
*Kitna bechain unhe lene ko gangajal tha
Jo bhi dharaa tha un hi ke liye wo bekal tha
Pyar apna bhi to ganga ki tarah nirmal tha