Sharm, Dehshat, Jhijak, Parishani
Naaz se kaam kyu.n nahi.n letii.n
Aap, woh, ji, magar, yeh sab kya hai
tum mera naam kyu-n nahi.n leti.n
Hai Mohabbat hayat ki lazzat
warna kuch lazzat-e-hayat nahi.n
kya ijazat hai aik baat kahu.n
woh...magar kher koi baat nahi.n
Jo Raanaai nigaho.n kay liye firdaus-e-jalwa hai
libaas-e-muflisi mein kitni beqeemat nazar aati
yahan to jaazibiyat bhi hai dolat hi ki parwarda
yeh laDki faqakash hoti to badsurat nazar aati
meri aql-o-hosh ki sab haalate.n
tumne saanche mein junuu.n ke dhal dii.n
kar liya tha mai.n ne ehd-e-tark-e- ishq
tumne phir baahe.n gale mei.n daal dii.n
saal ha saal aur ik lamha
koi bhi to na in mei.n bal aaya
khud hi ik dar pe mai.n ne dastak di
khud hi laDka sa mai.n nikal aaya