Hua Kuch Yoon Ki !
main kal ja raha tha
ke meri chappal toot gai
ab chappal to moochi seeta hai
seeta to darzi bhi hai
darzi to kapray seeta hai
kapray to rangeen hotay hain
rangeen to lota bhi hota hai
lota to bathroom main hota hai
bathroom main to nal bhi hota hai
nal to lohay ka hota hai
lohay ki to istiri bi hoti hai
istri to garam hoti hai
garam to Custard bhi hota hai
custard to peela hota hai
peela to chooza bhi hota hai
chooza to anday main se nikalta hai
anda to sufaid hota hai
sufaid to doodh bhi hota hai
doodh to bhains daity hai
bhains to kaali hoti hai
kaala to bangali bhi hota hai
bangali to paan khata hai
paan to laal hota hai
laal to gulab main bhi hota hai
gulaab main to kantay hotay hain
kantain to machli main bhi hotay hain
machli to paani me hoti hai
paani me kishti bhi hoti hai
kisthi me aadmi bhi hote hai
aadmi to road pe bhi hote hai
road pe to main bhi chalta hoon
chalne se yaad aaya ke
kal mai ja raha tha
ke meri chappal toot gayi thi