Bas Itni Si Enaayat Mujhpe Aik Baar Kijiye
kabhi Aa Ke Mere Zakhmon Ka Dedaar Kijiye
Ho Jaaiye Begaane Aap Shauq Se Sanam
Aapka Hun Aapkee Rahounga Aitbaar Kijiye
Parrhne Waale Hi Darr Jaayen Dekh Kar Ise
Kitaab-E-Dil Ko Itnaa Na Daagdaar Kijiye
Na Majboor Kijiye, Ke Main Unko Bhool Jaaun
Mujhe Meri Wafaaon Ka Na Gunehgaar Kijiye
In Jalte Diyon Ko Dekh Kar Na Muskuraaiye
Zara Hawaaon Ke Chalne Ka Intezaar Kijiye
Karna Hai Ishq Aapse Karte Rahenge Hum
Jo Bhi Karna Hai Aapko Mere Sarkaar , Kijiye
Phir Sapno Ka Ashiyaan Bana Liya Hai Maine
Phir Aandhiyon Ko Aap Khabardaar Kijiye
Naheed